Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
HomeLatest imagesRegisterLog in

 

 Poetry...!

Go down 
Go to page : 1, 2  Next
AuthorMessage
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:19 pm

Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:19 pm

Bheegi Hoi Ik Shaam Ki Dahleez Per Bathay
Hum Dil Kay Sulag-nay Ka Sabab Soch Rahay Hain
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:19 pm

Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !
Pooch kar mera pata, waqt ra-e-gah na karo,
Main to banjara hoon, kya jaanay kidhar jaaoonga !
Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh say kahegi main utar jaaoonga !
Phool rah jayeengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fhizaon mein bikhar jaaoonga !
Itna toota hoon ki choonay say bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaonga
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:20 pm

Aaj k din teray liye
Meray dil ki yeh dua
K khuda karay teri zeest ka har pal
Har lamha
Gulab ho jay,Shadab ho jay
Teri rooh ki tashnagi serab ho jay
Teri zat ka mehwar koi mehta ho jay
Jin par barasti hain khuda ki rehmatein
Un chand hastion mein tera intikhab ho jay
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:20 pm

dil ki chokhat pe ik deep jalaa rakhha hey ...
tere laut aanay ka imkaan sajaa rakhha hey . ..
saans takk nahi lete tujhey sochtey waqt ...
hum ne iss kaam ko bhi kal pe uthaa rakhha hey . ..
rooth ker kuch aur bhi lagtay ho haseen .. .
yehi soch k hum ne tum ko khafa rakhha hey .. .
tum jissey rota hua chor gaey thay uss dinn . ..
hum ne uss shaam ko bhi sene se laga rakhha hey
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:20 pm

Chehray pey meray zulf ko bikhrao kisi din
Kyou roz garajtay ho baras jao kisi din
Peron ki tarah husan ki barish mein naha lo
Badal ki tarah jhoom k ghar aao kisi din
Khushbo ki tarah guzro meray dil ki gali say
Pholon ki tarah mujh pey bikhar jao kisi din
Guzren jo meray ghar say tu ruk jaen sitaray
Es tarah meri rat ko mehkao kisi din
Mein apni har ek sans usi rat ko day don
Sar rakh k meray senay pay so jao kisi din
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:20 pm

Maainay sab k hatt main diaki mohabat ki lakeer,,
kkoun kkehtta haii yee dounyaa pyar k qabil nahi...
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:21 pm

AAbhi wo dard baqi hai

agerchey waqt marham hai

magar kuch waqt lagta hai

kisi ko bhool janey mein

doobara DIL basaaney mein!!!

main kaisey nayi ulfat mein

apni zaat ko gum ker doon

keh mere jism o wajood mein

abhi woh shakhs baqi hai

abhi us shakhs kee mujh per

NIGAH E SARD baqi hai

abhi to ishq k rasto kee

mujh per gard baqi hai

KEYUN KEH




ABHI WOH DARD BAQI HAI!!!!!!!!!!!!!!!!!
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:21 pm

Us Kay Bina ab Chup Chup Rehna Acha Lagta Hai
Khamoshi say Dard Ko Sehna Achaa Lagta Hai
Jis Hasti Ki Yaad Main Ansuu Behtay Hain
Samnay Us Kay Kuch Na Kehna Acha Lagta Hai
Mil Kay Us Say Bichar Na Jaon Darti Hon
Is Liyay Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai
Janti Hoon Kay Piyar Mai Srf Ansoon Hi Miltay Hain
Kuch Bhi Ho Aab Is Zeher Ko Peena Acha Lagta Hai
Jee chahay Saa Khushiyaan La Ker Saab Us Ko Day Doon
Jis Kay Piyar Main Yeh Saab Kuch Khona Acha Lagta Hai
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:21 pm

Shikway bhi hazaron hain shikayat bhi bohat hai
iss dil ko magar uss say mohabat bhi bohat hai
aajati hai milnay wo tassavor main sar e sham
ek shaks ki itni si inayat bhi bohat hai
yeh bhi hai tamanna k usay dil say bhula dain
iss dil ko magar uss ki zaroorat bhi bohat hai
dekhain to zara pi k zeher e mohabbat
suna hai k iss zeher main lazzat bhi bohat hai
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:22 pm

kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye to
kabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab main koi jugno jagmagata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota ho
to uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti hoon
agar jo letna chahon to bas takiye bhigoti hoon
koi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayen
meri saari baharain bhi khizan k sang ho jayen
tabhi ek aas ka panchi dar e dil khatkatata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
wo jiss k dhyan ki kirnain hamain har subh jagati hain
usi ki yaad k saye main shamin muskurati hain
mujhe chu kar jo har shab sang say hera banata hai

MUJHE WO YAAD ATA HAI........
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:22 pm

Zindagi pe is se bherh k tanz kya hoga faraz?
us ka yeh kehna k to shaayer hai, deewana nahin
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:22 pm

Pyaar k deep jalane wale kuch kuch pagal hote hain
Apni jaan se jane wale kuch kuch pagal hote hain

Hijar k gehre zakham mile tu mujh ko yeh ahsaas hoa
Pagal ko samjhane wale kuch kuch pagal hote hain

Jaan se pyaare logoon se bhi kuch kuch perda lazim hai
Saari baat batane wale kuch kuch pagal hote hain

Khawaboon mein bhi piya Milan k sapne dekhte rehte hain
Neendon mein muskane wale kuch kuch pagal hote hain

Pyaar jinhein ho jaye un ko chain bhala kab milta hai
Shab bhar ashk bahane wale kuch kuch pagal hote hain

Apni zaat k ujre gulshan se wo pyaar kahan kerte hain
Ooroon ko mehkane wale kuch kuch pagal hote hain

Uss k ishq mein bheeg k wasif hum ko yeh ahsaas hoa
Dil ki baat mein aane wale kuch kuch pagal hote hain
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:23 pm

Jo khayal thay na qayas thay wohi log hum se bichar gay
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein manta he nahi yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay har tarah say jo raas thay wohi log hum se bichar gay
Mujhay lamha bhar ki rafaqaton k azab or sataen gay
Jo meri umar bhar ki payas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh khayal saray hain arazi yeh gulab saray hain kaghazi
Gul-e-arzoo ki jo baas thay wohi log hum se bichar gay
Jinhein kar saka na qabool mein wohi shareek-e-rah-e-safar huway
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum se bichar gay
Yeh raat din meray sath hain wohi ajnabi k ajnabi
Who jo dharkano ki assas thay wohi log hum se bichar gay
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:23 pm

Mene tere liye Khuda se dua mangi
Apni muhabbat k badle tujh se wafa mangi

Jo dukh hai mujhay is ki koi dawa nhin
Teri rahoon mein phool khilein yeh dua mangi

Tera sadgi se muskurana mujhay acha lagta hai
Tu sada muskuraye khuda se yeh dua mangi
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:23 pm

Usay apnay dard ki fikar thi
Wo jo mera wakf-e-hal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi
Wohi mera waqt-e-zawal tha
Mera dard kaisay wo janta
Meri bat kaisay wo manta
Wo to khud fana k safar mein tha
Usay rokna hi muhal tha
Kahan jao gay mujhay chor kar
Mein yeh pooch pooch kar thak gaya
Wo jawab mujh ko na de saka
Who to khud srapa-e-sawal tha
Wo mila to sadion k bad bhi meray lab per koi gila na tha
Usay meri chup nay rula dia jisay guftagu main kamal tha
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:23 pm

Dil mein hota tu mumkin tha nikal bhi jata
Ab to who shakhs bohat door talak mujhi me hai
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:24 pm

Kahin milay tu usay yeh kehna
Main saray arman jala chukka hoon
Jo sholey bharkey thay khawahishon k
Wo ansoyon se bhuja chukka hoon
Kahin milay tu usay ye kehna
K chaak-e-daman ko si raha hoon
Bari hi mushkil se g raha hoon
Dia jo nafrat ka zehar tu ne
Samaj k amrat
Main p raha hoon
Kahin miley to usay yeh kehna
Wo jazbay meray
Kuchal gaya hai
Jafa k sanchay mein dhal gaya hai
Na badlay mosam b itni jaldi
Wo jitni jaldi badal gaya hai
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:24 pm

Aaj kuch kami hai tere baghair
Na rang hai na roshni hai teray baghair
Waqt apni rftar se chal raha hai
Bus dharkan thami hai tera baghair
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:24 pm

Tumhari raah ki deewar to hona nahi hum'ko
agar hum bojh ban jayen to dhona nahi hum'ko
hamari khush naseebi hai tmhari aan pr marna
agar hum mar gaye to dekhna rona nahi hum'ko
ZAFAR hum zindagi hain!zindagi ek bar milti hai
agar mil jayen hum tum'ko,to phir khona nahi hum'ko
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:25 pm

Aqal kehti hai k pee sheer o shakar
ishq kehta hai k pee khoon e jigar
aqal kehti hai k maal amaal ho
ishq kehta hai k paemaal ho
aqal kehti hai k takht e shahana milay
yeh ishq kehta hai k veerana milay
aqal kehti hai k chal bazar ko
yeh ishq lay jata hai koo e yaar ko
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:25 pm

Koi tum say poochay kon hoon mein
Tum keh daina koi khas nahi
Ik dost hai kacha paka sa
Ik jhoot hai adha sacha sa
Jazbat ko dhanpay ik parda
Bus aik bahana acha sa
Jeevan ka aisa sathi hai
Jo door na ho kar pas nahi
Koi tum se poochay kon hoon mein
Tum keh daina koi khas nahi
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:25 pm

Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehlay he akela hoon
Mujhe tanha nahi karna
bohat masroof ho jana
To socha nahi karna
Bhrosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqadar phir muqadar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai wo hona hai
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tumse hai
Mujhay aadha nahi karna
Haqiqat ha Milan apna
Isay spna nahi karna
humein tum yaad rahtay ho
Humein bhoola nahi karna
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:25 pm

Tujhay kia khabar teri yaad
Nay humein kaisay kaisay sata dia
Kabhi khalwaton mein hansa dia
Kabhi mehfilon mein rula dia
Teray ishq mein kabhi yun huwa
K namaz apni qaza hui
teri aarzoo ne kabhi mujhe meray pak rab se mila dia
Back to top Go down
Ali




Number of posts : 123
Registration date : 2008-11-20

Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitimeSat Nov 22, 2008 4:26 pm

Dukh dard k maron say mera zikr mat karna
ghar jao tu yaro se mera zikar mat karna
wo zabt na kar payengay ankhon k samndur
tum rah guzaron say mera zikar mat karna
pholon k nasheman mein raha hun sada say
dekho kabhi khazaroon say mera zikar mat karna
shayed yeh andheray he mujhay rah dikhein
ab chand sitaron say mera zikar mat karna
wo meri kahani ko ghalat rang na dey dein
afsana nigaron say mera zikar mat karna
shaid wo meray haal pey besakhta rodein
is bar baharon say mera zikar mat karna
lay jayngay gehrai mein tum ko baha kar
darya k kinaron say mera zikar mat karna
who shaks milay tu ussay har bat bata dena
tum sirf esharon say mera zikar mat karna
Back to top Go down
Sponsored content





Poetry...! Empty
PostSubject: Re: Poetry...!   Poetry...! Icon_minitime

Back to top Go down
 
Poetry...!
Back to top 
Page 1 of 2Go to page : 1, 2  Next
 Similar topics
-
» New Poetry
» 2 Lines Poetry..!
» My Amateurish Poetry...!!!
» Poetry OF Ahmed Faraz..!

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
 :: жЖж...Mehfil-e-Adab...жЖж :: Urdu Poetry !!-
Jump to: